• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hain Jitni Parten Yahan Aasman Mein Shamil

Hain Jitni Parten Yahan Aasman Mein Shamil

hain jitni parten yahan asman men shamil

sabhi huiin miri had ki uḌaan men shamil

baḌha hai shahr men rutba zara hamara bhi

hue hain jaise ham un ke bayan men shamil

uchhal yuun hi nahin baḌh ga.i hai lahron ki

nadi ka zor bhi hai kuchh Dhalan men shamil

dhuan ghubar parinde tapish ghuTan ḳhushbu

hain bojh kitne hava ki thakan men shamil

thiin qist jitni bhi ḳhvabon ki be-hisab paḌi

kiya hai niind ne sab ko lagan men shamil

suna hai naam se tere hain bikte afsane

mujhe bhi kar le kabhi dastan men shamil

zara si dosti ki ham se qafiyon ne kiya

kiya ghazal ne hamen ḳhandan men shamil

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Ai Sanam Der Na Kar Anjuman-Ara Ho Ja

Chaman Apne Rang Mein Mast Hai Koi Gham-Gusar-E-Digar Nahin

ahmad-rahi

Koi Hasrat Bhi Nahin Koi Tamanna Bhi Nahin

Sultan Baho

Kaamil Murshid Aisa Howe Jo dhobi Wangun Chatte Hu

gulzar

Kandhe Jhuk Jate Hain

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet