hai udasi ka murtakib koi
mujh men rahta hai muztarib koi
chand bhi raushni nahin deta
jab se ruTha hai be-sabab koi
apne mauqif ki baat karta hai
mujh se milta hai aa ke jab koi
main to sunti nahin huun apni bhi
yahan hota hai apna kab koi
kijiye gham se aap hi parda
kah raha hai ye muhtajib koi
Leave a Reply