• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hai Lahu Shahidon Ka Naqsh-E-Jawedan Yaro

Hai Lahu Shahidon Ka Naqsh-E-Jawedan Yaro

hai lahu shahidon ka naqsh-e-javedan yaaro

maqtalon men hoti hai aaj bhi azaan yaaro

sail-e-vaqt huun mujh ko kaun rok sakta hai

chhin lo qalam chahe kaaT lo zaban yaaro

bal-o-par ki mahrumi aur ḳhuun rulati hai

jab bhi dekh leta huun su-e-asman yaaro

is nigah-e-baham ko aur kis se duun nisbat

nok-e-be-sinan yaaro tiir be-kaman yaaro

un ki bazm-e-rangin ka ahal to na tha lekin

kaam aa ga.i meri shoḳhi-e-bayan yaaro

ye bhi apne mehvar ki samt lauTta hoga

be-sabab nahin uThta aag se dhuan yaaro

is sadi ne baḳhsha hai mujh ko ek naya lahja

mujh se chhuT nahin sakti jiddat-e-bayan yaaro

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Humne DhunDen Bhi to DhunDen Hain Sahaare Kaise

Bahut Nahif Hai Tarz-E-Fughan Badal Dalo

Kya Sochte Rahte Ho Taswir Bana Kar Ke

shah-naseer

Meri Turbat Par Chadhane dhundta Hai Kis Ke Phul

akhtar-shirani

Umr Bhar Ki Talkh Bedari Ka Saman Ho Gain

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet