• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Bahut Pahle Se Un Qadmon Ki Aahat Jaan Lete Hain

Bahut Pahle Se Un Qadmon Ki Aahat Jaan Lete Hain

firaq-gorakhpuri

bahut pahle se un qadmon ki aahat jaan lete hain

tujhe ai zindagi ham duur se pahchan lete hain

miri nazren bhi aise qatilon ka jaan o iman hain

nigahen milte hi jo jaan aur iman lete hain

jise kahti hai duniya kamyabi vaae na-dani

use kin qimaton par kamyab insan lete hain

nigah-e-bada-gun yuun to tiri baton ka kya kahna

tiri har baat lekin ehtiyatan chhan lete hain

tabiat apni ghabrati hai jab sunsan raton men

ham aise men tiri yadon ki chadar taan lete hain

khud apna faisla bhi ishq men kaafi nahin hota

use bhi kaise kar guzren jo dil men thaan lete hain

hayat-e-ishq ka ik ik nafas jam-e-shahadat hai

vo jan-e-naz-bardaran koi asan lete hain

ham-ahangi men bhi ik chashni hai ikhtilafon ki

miri baten ba-unvan-e-digar vo maan lete hain

tiri maqbuliyat ki vajh vahid teri ramziyyat

ki us ko mante hi kab hain jis ko jaan lete hain

ab is ko kufr manen ya bulandi-e-nazar janen

khuda-e-do-jahan ko de ke ham insan lete hain

jise surat batate hain pata deti hai sirat ka

ibarat dekh kar jis tarah maani jaan lete hain

tujhe ghata na hone denge karobar-e-ulfat men

ham apne sar tira ai dost har ehsan lete hain

hamari har nazar tujh se nai saugandh khati hai

to teri har nazar se ham naya paiman lete hain

rafiq-e-zindagi thi ab anis-e-vaqt-e-akhir hai

tira ai maut ham ye dusra ehsan lete hain

zamana vardat-e-qalb sunne ko tarasta hai

isi se to sar ankhon par mira divan lete hain

‘firaq’ aksar badal kar bhes milta hai koi kafir

kabhi ham jaan lete hain kabhi pahchan lete hain

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Tum Hamare Nahin to Kya Gham Hai

Gunah-E-Ishq Mein Is Baat Kei Taskin Hoti Hai

ahmad-nadeem-qasmi

Mera Ghurur Tujhe Kho Ke Haar Man Gaya

poet

Hawas Ye Rah Gai dil Mein Ki Muddaa Na Mila

KHuda Ko DhunD Raha Tha Kahin KHuda Na Mila

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet