hai ḳhamoshi-e-intizar bala
ast hai ek chup hazar bala
dekh le ik nazar ki hai manzur
sad-tabahi o sad-hazar bala
dilbari par hai jan-faza be-dad
dil-dahi par hai jan-nisar bala
hijr men asman mudara.i
vasl men hai satiza-kar bala
kaj-kulahi ka ham-nashin fitna
ḳham-e-gesu ki dost-dar bala
aa ga.i sar pe aqibat aafat
ho ga.i chashm-e-intizar bala
hai fida mujh pe asman goya
vaar vaar aa.i baar baar bala
mujh sa pamal-e-rozgar hai kaun
ḳhajil aafat hai sharm-sar bala
daagh ka mere dard-kash sadma
dard ki mere raz-dar bala
sehn-e-gulshan ki sham-e-bazm hai barq
naujavani ki hai bahar bala
ai ‘qalaq’ asare ka kya jiina
zindagi hai ma.al-e-kar bala
Leave a Reply