hai jhalak us men isti.are ki
shakl pahchaniye sitare ki
naam aata hai baar baar mira
baat chalti hai jab ḳhasare ki
saath suraj ke Duub jaata hai
haa.e re bebasi nazare ki
kitni baisakhiyan thiin mere liye
jab zarurat na thi sahare ki
ab hua mera sar juda tan se
ik zara der thi ishare ki
kya ye mumkin nahin ki tufan men
baat chalti rahe kinare ki
‘shan’ ab raah dekhi jaati hai
rang ke har na.e shumare ki
Leave a Reply