haae kafir tire hamrah adu aata hai
kya kahun paas ye tera hai ki tu aata hai
nikhat-e-itr men bas-bas ke jo tu aata hai
apne hamrah liye rashk ki bu aata hai
na-tavani se nahin ah-o-fughan ki taqat
naala tham tham ke mira ta-ba-gulu aata hai
chaunk padta huun shab-e-vada tire dhoke men
har qadam par yahi khatka hai ki tu aata hai
dukhtar-e-raz ke qadam tak to rasai malum
mohtasib sang-e-dar-e-mai-kada chhu aata hai
zakhm-e-dil par kabhi tanka na lagaya tum ne
ham to samjhe the tumhen khuub rafu aata hai
Leave a Reply