hal-e-poshida khula saman-e-ibrat dekh kar
padh liya qismat ka likkha lauh-e-turbat dekh kar
is qadar be-khud hua asar-e-vahshat dekh kar
aina se naam puchha apni surat dekh kar
dekhiye mahshar men bhi surat dikhae ya nahin
subah bhagi hai shab-e-hijran ki zulmat dekh kar
jam-e-kausar dast-e-saqi men nazar aaya mujhe
uth gaya ankhon ka parda abr-e-rahmat dekh kar
raat din ke makhmase se ai junun paai najat
ablaq-e-ayyam bhaga meri vahshat dekh kar
tere kuche men tira jalva nazar aaya mujhe
sane-e-jannat ko dekha bagh-e-jannat dekh kar
munh hamara jalva-e-didar ke laaeq kahan
apni surat dekhte hain teri surat dekh kar
chaar divar-e-anasir par safedi phir gai
ankhen raushan ho gaiin teri sabahat dekh kar
vahshat-e-dil hashr ke din bhi rahe ka.vus talab
kante dhundhe ham ne sahra-e-qayamat dekh kar
chahchahe bulbul ke avaz-e-kaf-e-afsos hon
rang-e-gul ud jaae mera dagh-e-hasrat dekh kar
abr udhar aaya idhar mai-khvaron ka beda hai paar
kashti-e-mai mol ke dariya-e-rahmat dekh kar
aansu ponchhe yaad aaya jab javani ka maza
ankhen malte rah gae ham khvab-e-rahat dekh kar
barahman kaaba men aaya shaikh pahuncha dair men
log be-vahdat hoe hain teri kasrat dekh kar
har ghadi aati hai kanon men ye avaz-e-jaras
kaun duniya se safar karta hai saaat dekh kar
nashsha ke asbab-e-tazin men bhi nashsha hai zarur
meri ankhen chadh gaiin mai-khane ki chhat dekh kar
ab nahin nazuk-mizaji se tavajjoh ka dimagh
ai ajal aana kabhi hangam-e-fursat dekh kar
vo muvahhid huun na rakkha dusre se ittihad
ruuh ne chhoda badan ko zidd-e-vahdat dekh kar
khun-e-bulbul se magar sincha hai bagh-e-dahr ko
ham lahu barsate hain phulon ki rangat dekh kar
tere bande sar jhukate hain buton ke samne
sajde karta huun ilahi teri qudarat dekh kar
zakhmi-e-tegh-e-taghaful par nazar jamti nahin
chashm-e-sozan band hoti hai jarahat dekh kar
ji laga kar ye ghazal kis tarah kahiye ai ‘munir’
bujh gaya dil kuch-e-manzil ki azimat dekh kar
Leave a Reply