guzra jidhar se raah ko rangin kar gaya
jugnu ik aftab ki tauhin kar gaya
kis ne biThaya mujh ko sar-e-masnad-e-sinan
ye kaun mere jism ki taz.in kar gaya
ashkon ne zaḳhm zaḳhm ko andar se dho diya
ye gham tira to ruuh ki taskin kar gaya
ye kis ki ḳhamushi se hai nabz-e-jahan ruki
ye kaun ka.enat ko ghamgin kar gaya
aaya tha le ke ziist men daulat sukun ki
jaate hue qarar mira chhin kar gaya
ye gaam gaam aa.ine kis ne bichha diye
ye kaun gaam gaam ko ḳhud-bin kar gaya
tohmat mire vajud ko chhu kar palaT ga.i
samjha tha vo ki zaat ki taskin kar gaya
ai kushtgan-e-ishq bharam hai ye ishq ka
rakhna ye jeb chaak vo talqin kar gaya
‘tahir’ har ek baat men jis ki miThas thi
bichhḌa to zindagi ko vo ghamgin kar gaya
Leave a Reply