• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Gunah Aur Mohabbat

Gunah Aur Mohabbat

noon-meem-rashid

gunah ke tund-o-tez shoalon se ruuh meri bhadak rahi thi

havas ki sunsan vadiyon men miri javani bhatak rahi thi

miri javani ke din guzarte the vahshat-alud ishraton men

miri javani ke mai-kadon men gunah ki mai chhalak rahi thi

mire harim-e-gunah men ishq devta ka guzar nahin tha

mire fareb-e-vafa ke sahra men hur-e-ismat bhatak rahi thi

mujhe khas-e-na-tavan ke manind zauq-e-isyan baha raha tha

gunah ki mauj-e-fitna-saman utha utha kar patak rahi thi

shabab ke avvalin dinon men tabah o afsurda ho chuke the

mire gulistan ke phuul jin se faza-e-tifli mahak rahi thi

gharaz javani men ahrman ke tarab ka saman ban gaya main

gunah ki alaishon men luthda hua ik insan ban gaya main

mohabbat

aur ab ki teri mohabbat-e-sarmadi ka bada-gusar huun main

havas-parasti ki lazzat-e-be-sabat se sharmsar huun main

miri bahimana khvahishon ne farar ki raah li hai dil se

aur un ke badle ik arzu-e-salim se ham-kanar huun main

dalil-e-rah-e-vafa bani hain ziya-e-ulfat ki paak kirnen

phir apne firdaus-e-gum-shuda ki talash men rah-sipar huun main

hua huun bedar kaanp kar ik muhib khvabon ke silsile se

aur ab numud-e-sahar ki khatir sitam-kash-e-intizar huun main

bahar-e-taqdis-e-javedan ki mujhe phir ik baar aarzu hai

phir ek pakiza zindagi ke liye bahut be-qarar huun main

mujhe mohabbat ne maasiyat ke jahannamon se bacha liya hai

mujhe javani ki tira-o-tar pastiyon se utha liya hai

Filed Under: Nazm Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Jo Hua Jaun Wo Hua Bhi Nahin

afzal-allahabadi

Tum Hamare Ho Hum Tumhaare Hain

aalok-shrivastav

dhadakte Sans Lete Rukte Chalte Maine dekha Hai

Zamin Ki God Mein Rakkhe Hue Aflak Ke KHitte

Jahaalat Ka Manzar Jo Rahon Mein Tha

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet