gumun nahin to kya main kahin ja ke paḌ rahun
bimar aadmi ki tarah raat kaaT duun
dekhega aaj meri taraf kaun pyaar se
bujhta hua charagh huun patjhaḌ ka chand huun
tasvir ban ke dekh raha huun jahan ko
tu hi bata ki aur main ab kaise chup rahun
shirin hai zahr maut ka ai talḳhi-e-hayat
ji chahta hai aaj tira jaam toḌ duun
is baare men to aap se behtar huun main zarur
piina bhi paḌ gaya to piya hai ḳhud apna ḳhuun
ḳhat likh ke phaaḌ dena mire mashghalon men hai
paḌhti rahi hai aag mira nama-e-zubun
gir ja.egi ye chhat jo chali jhuum kar hava
‘rahi’ miri hayat hai ik qasr-e-be-sutun
Leave a Reply