Gulon Mein Rang Bhare Baad-E-Nau-Bahaar Chale

gulon men rang bhare bad-e-nau-bahar chale

chale bhi aao ki gulshan ka karobar chale

qafas udaas hai yaaro saba se kuchh to kaho

kahin to bahr-e-khuda aaj zikr-e-yar chale

kabhi to subh tire kunj-e-lab se ho aghaz

kabhi to shab sar-e-kakul se mushk-bar chale

bada hai dard ka rishta ye dil gharib sahi

tumhare naam pe aenge gham-gusar chale

jo ham pe guzri so guzri magar shab-e-hijran

hamare ashk tiri aqibat sanvar chale

huzur-e-yar hui daftar-e-junun ki talab

girah men le ke gareban ka taar taar chale

maqam ‘faiz’ koi raah men jacha hi nahin

jo ku-e-yar se nikle to su-e-dar chale

Leave a Comment