gulab-chehre pe shab ka e.ajaz bolta hai
vo chup hai lekin nazar ka andaz bolta hai
main jaise ḳhushbu ki barishon main naha raha huun
hava ke honTon se koi gul-baz bolta hai
mujhi men raushan charagh-e-naghma magar abhi tak
mujhe guman hai ki parda-e-saz bolta hai
pukarti hai koi sada mujh ko dasht-e-jan se
ye tu hai ya mera vahm-e-avaz bolta hai
parind har chand qaid to ho gaya hai lekin
har ik bun-e-mu se josh-e-parvaz bolta hai
Leave a Reply