• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Gul Tera Rang Chura Lae Hain Gulzaron Mein

Gul Tera Rang Chura Lae Hain Gulzaron Mein

ahmad-nadeem-qasmi

gul tira rang chura laae hain gulzaron men

jal raha huun bhari barsat ki bauchharon men

mujh se katra ke nikal ja magar ai jan-e-haya

dil ki lau dekh raha huun tire rukhsaron men

husn-e-be-gana-e-ehsas-e-jamal achchha hai

ghunche khilte hain to bik jaate hain bazaron men

zikr karte hain tira mujh se ba-unvan-e-jafa

chara-gar par piro laae hain talvaron men

zakhm chhup sakte hain lekin mujhe fan ki saugand

gham ki daulat bhi hai shamil mire shahkaron men

muntazir hain ki koi tesha-e-takhliq uthae

kitne asnam abhi dafan hain kohsaron men

mujh ko nafrat se nahin pyaar se maslub karo

main to shamil huun mohabbat ke gunahgaron men

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Biswin Sadi Ke Hum Shair-E-Pareshan Hain

poet

Rang-Amezi Se Paida Kuchh Asar Aisa Hua

akbar-hyderabadi

Jin Ke Nasib Mein Aab-O-dana Kam Kam Hota Hai

Sufi

Wo Jo Har Rah Ke Har Mod Par Mil Jata Hai

Nazar Mili to Nazaron Mein banT Di Maine

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet