gul bhi manind-e-ḳhar hain ab to
nang-e-fasl-ए-bahar hain ab to
ham-vatan dil-figar hain ab to
sab ke sab sho.ala-bar hain ab to
jin ke dam se bahar aa.i thi
vo bhi ankhon men ḳhaar hain ab to
jin pe dar-o-madar-e-gulshan tha
vo siyasat shi.ar hain ab to
kya abhi der hai qayamat men
ham bahut be-qarar hain ab to
ek do tiin chaar ho to kahin
mushkilen be-shumar hain ab to
bhiik jo mangte the saḌkon par
barsar-e-eqtidar hain ab to
vo jo gulshan ko luTte hi rahe
sahab-e-lala-zar hain ab to
dil ko amn-o-aman nasib nahin
ḳhushiyan saari farar hain ab to
jo sharik-e-ḳhizan kabhi na rahe
vo sharik bahar hain ab to
apni man-mani kis liye na karen
sahib-e-iḳhtiyar hain ab to
aap ke din ga.e ḳhalil miyan
faḳhta.en farar hain ab to
jo kabhi nang-e-qaum the yaaro
ba.is-e-iftiḳhar hain ab to
sochne ka maqam hai ‘nami’
ḳhaar bhi mushk-bar hain ab to
Leave a Reply