bhaḌe ka ik makan huun mujh ko ḳhabar nahin hai
apna hi mehman huun mujh ko ḳhabar nahin hai
koi bata.e mujh ko zinda huun mar chuka huun
gar huun to main kahan huun mujh ko ḳhabar nahin hai
kuchh bhi nahin bacha hai bas duur tak ḳhala hai
kya main hi asman huun mujh ko ḳhabar nahin hai
tum mere darmiyan ho mujh ko pata hai lekin
main kis ke darmiyan huun mujh ko ḳhabar nahin hai
kuchh sau arab sitare mujh men hain dafn ya.ani
main ek kahkashan huun mujh ko ḳhabar nahin hai
apne hi zehn-o-dil par chhaya hua huun kab se
badal huun ya dhuan huun mujh ko ḳhabar nahin hai
koi ḳhayal huun main ya phir saval huun main
main kaun sa saman huun mujh ko ḳhabar nahin hai
kirdar mar chuke hain lekin main ji raha huun
main kaisi dastan huun mujh ko ḳhabar nahin hai
Leave a Reply