girne ka bahut dar hai ai dil na phisal jaana
is bam-e-mohabbat par mushkil hai sambhal jaana
dil meri sune kyunkar samjhaun use kya main
vahshat ne sikhaya hai qaabu se nikal jaana
vo tere faqiron ko ankhon se zara dekhe
jis ne nahin dekha hai qismat ka badal jaana
dikhlao rukh-e-zeba ta mujh ko qarar aae
asan nahin ashiq ka baton men bahal jaana
kamzor kiya mujh ko ab zoaf-e-naqahat ne
ai ishq zara mere pahlu ko badal jaana
jalna tumhen is dil ka main aaj dikhaunga
tum ne nahin dekha hai ik parche ka jal jaana
ashiq tiri mahfil se uthta hai yahi kah kar
yaan majma-e-dushman hai ab chahiye tal jaana
sar-gashtagi-e-ashiq kya tum ko bataun main
taqdir badalna hai ankhon ka badal jaana
nadan tabibon ko kya nabz dikhaun main
azar-e-mohabbat ko sauda ka khalal jaana
vahshat hai fuzun dil ki tanha na chala jaae
lazim hai ‘jamila’ ab sahra ko nikal jaana
Leave a Reply