gir ke qadmon pe sar-e-bazm taḌapna dekha
marne vaale ka miri jaan tamasha dekha
ik jahan tera tamasha.i hai sab ko hai ḳhabar
a.ina dekh ke mujh ko ye bata kya dekha
khol kar naama mira us ne paḌha bhi ki nahin
nama-bar meri taraf se use kaisa dekha
dil jise kahte hain pahlu men kabhi vo hoga
ham ne to dil ki jagah dagh-e-tamanna dekha
kaun kahta hai ki shohrat tire ashiq ki nahin
us ko to kucha-o-bazar men rusva dekha
a.ina-ḳhane men nikla na koi tera javab
yahi kahta tha mohabbat ka taqaza dekha
tum to masruf rahe husn ki ara.ish men
ham ne a.ine men kal ik sitam-ara dekha
jal gaya tuur gire hazrat-e-musa ghash men
kya kaleja tha ki jis ne tira jalva dekha
ishq ki ye bhi karamat hai agar tum samjho
tum ne apna miri ankhon men samana dekha
TikTiki bandhe hue dekh raha tha tum ko
tum ne ‘shankar’ ka bhi mahfil men tamasha dekha
Leave a Reply