ghuTan bhī dekh rahī hai mujhe hairānī se
kahīñ maiñ uub hī jā.ūñ na us javānī se
sazā-e-maut nahīñ umr-qaid kāTo.ge
ye hukm aa hī gayā dil kī rājdhānī se
zarā sā ishq kiyā aur ab ye hālat hai
vo bah rahā hai ragoñ meñ ajab ravānī se
udāsiyoñ meñ bhī shikvā bhalā kareñ kis se
bachā hai kaun mohabbat meñ rā.egānī se
kabhī kabhī to mujhe ḳhud pe hañsī aatī hai
mujhe ye ishq huā bhī to ik divānī se
maiñ koshishoñ meñ huuñ ik jism ko banāne kī
havā se aag se miTTī se aur paanī se
udaas ho chukā kirdār chīḳh kar bolā
mujhe nikāl do ab is dukhī kahānī se