• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ghazab Hai Surma de Kar Aaj Wo Bahar Nikalte Hain

Ghazab Hai Surma de Kar Aaj Wo Bahar Nikalte Hain

bhartendu-harishchandra

ghazab hai surma de kar aaj vo bahar nikalte hain

abhi se kuchh dil-e-muztar par apne tiir chalte hain

zara dekho to ai ahl-e-sukhan zor-e-sanaat ko

nai bandish hai majnun nuur ke sanche men dhalte hain

bura ho ishq ka ye haal hai ab teri furqat men

ki chashm-e-khun-chakan se lakht-e-dil paiham nikalte hain

hila denge abhi ai sang-dil tere kaleje ko

hamari ah-e-atish-bar se patthar pighalte hain

tira ubhra hua siina jo ham ko yaad aata hai

to ai rashk-e-pari pahron kaf-e-afsos milte hain

kisi pahlu nahin chain aata hai ushshaq ko tere

tadapte hain fughan karte hain aur karvat badalte hain

‘rasa’ hajat nahin kuchh raushni ki kunj-e-marqad men

bajae-shama yaan dagh-e-jigar har vaqt jalte hain

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

ujaD ujaD Ke Sanwarti Hai Tere Hijr Ki Sham

Rah-E-Wafa Mein Saya-E-Diwar-O-Dar Bhi Hai

Najat Ke Liye Roz-E-Siyah Mangti Hai

Bujh Gae Shoale Dhuan Aankhon Ko Pani De Gaya

poet

Duniya Apni Manzil Pahunchi Tum Ghar Mein Bezar paDe

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet