ghar kisi ka bhi ho jalta nahin dekha jaata
ham se chup rah ke tamasha nahin dekha jaata
teri azmat hai tu chahe to samundar de de
mangne vaale ka kaasa nahin dekha jaata
jab se sahra ka safar kaaT ke ghar lauTa huun
tab se koi bhi ho pyasa nahin dekha jaata
ye ibadat hai ibadat men siyasat kaisi
is men ka.aba ya kalisa nahin dekha jaata
mere lahje pe na ja qaul ka mafhum samajh
baat sachchi ho to lahja nahin dekha jaata
aks ubhrega ‘nafas’ gard haTa de pahle
dhundhle a.ine men chehra nahin dekha jaata
Leave a Reply