• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Gham Nahin Naz-E-Husn Hai Husn Ke Naz uThae Ja

Gham Nahin Naz-E-Husn Hai Husn Ke Naz uThae Ja

gham nahin naz-e-husn hai husn ke naaz uTha.e ja

ai dil-e-mubtala-e-gham gham men bhi muskura.e ja

husn hai ishq-e-afrin husn pe dil luTa.e ja

ishq ko dard-e-dil bana dard ko dil bana.e ja

jalva-ba-jalva gar nahin parda-ba-parda aa.e ja

dil men mire sama.e ja ruuh men jagmaga.e ja

shorish-e-ka.enat men gham ko ḳhushi bana.e ja

hans mire ansuon men tu aah men muskura.e ja

taron men jagmaga.e ja chand men muskura.e ja

duur se koi naghma-e-ruh-faza suna.e ja

zabt ba-qadr-e-zarf hai zarf ba-qadr-e-shauq hai

tu abhi samne na aa shauq abhi baḌha.e ja

bahama tark-e-rasm-o-rah kuchh to ho iltifat bhi

tu mujhe bhuul ja magar yaad mujhe tu aa.e ja

husn se baḌh ke bad-guman ishq hai apne aap se

main abhi mutma.in nahin tu mujhe azma.e ja

sirf jabin-e-shauq ho aur kisi ka astan

sajde bhi darmiyan na huun sajdon ko bhi miTa.e ja

bazm-e-nashat-e-ka.enat mujh pe hai ḳhanda-zan hanuz

ḳhalvat-e-gham men tu abhi aur mujhe rula.e ja

ab na vo ‘bismil’ aur na tu ab na vo dil na aarzu

ab to ḳhuda ke vaste yaad use na aa.e ja

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ghafil Dil Aur Ishq Ki rasMein

nahid-qasmi

Banjar dil Sairab Karo

poet

Apni Qismat Ke Hue Sare Sitare Patthar

MULLA JAMI

Gah dam Ze-Andeshai Mahe Zane

poet

Apni Nazron Mein Haarna Kab Tak

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet