gham ka mausam biit gaya so rona kya
kal ke gham ko aaj ke din men bona kya
thiik hai ham ik-dusre ke mahbub nahin
lekin mere dost to ab bhi hona kya
aur bahut se kaam pade hain karne ke
ashkon ke sat-range haar pirona kya
jis ko meri halat ka ehsas nahin
us ko dil ka haal suna kar rona kya
be-shak saari raat kati hai ankhon men
ab ujyara phail gaya to sona kya
tum ne hanste hanste naata tod liya
lekin sach sach batlao khush hona kya
Leave a Reply