gham ka maara kabhi na ho koi
be-sahara kabhi na ho koi
jab har ik shaḳhs ho faqat dariya
jab kinara kabhi na ho koi
gar kabhi ho to ho faqat tashbih
isti.ara kabhi na ho koi
kyuun bhala is tarah tabi.at ho
kyuun gavara kabhi na ho koi
tu ki ik umr intizar kare
aur ishara kabhi na ho koi
is qadar huun tahi ḳhuda na kare
jab ḳhasara kabhi na ho koi
Leave a Reply