gavahi kaise tutti muamla khuda ka tha
mira aur us ka rabta to haath aur dua ka tha
gulab qimat-e-shaguft shaam tak chuka sake
ada vo dhuup ko hua jo qarz bhi saba ka tha
bikhar gaya hai phuul to hamin se puchh-gachh hui
hisab baghban se hai kiya-dhara hava ka tha
lahu-chashida haath us ne chuum kar dikha diya
jaza vahan mili jahan ki marhala saza ka tha
jo barishon se qabl apna rizq ghar men bhar chuka
vo shahr-e-mor se na tha pa durbin bala ka tha
Leave a Reply