gar ho na khafa to kah duun ji ki
is dam tumhen yaad hai kisi ki
jo samne ho kahe usi ki
munh dekhi hai baat aarsi ki
phulon ka kabhi na haar pahna
baddhi jo padi tiri chhadi ki
gul-gir ne kaat kar sar-e-shama
parvane se shab kati jali ki
tasbih men bhi ho tar-e-zunnar
khatir na shikasta kar kisi ki
aaya shab-e-mah men vo jo ta-farsh
chadar hui gard chandni ki
sayyad kabhi tu zabh kar daal
mud jaegi baad kya chhuri ki
aina barq men hai lazim
tasvir khinche tiri hansi ki
tartib-e-kuhan ki vaza ai ‘arsh’
ham ne divan men nai ki
Leave a Reply