Gar Dard Mein Bhi Lutf-O-Maza DhunD Lenge Log

gar dard meñ bhī lutf-o-maza DhūñD leñge log

mumkin hai zahr meñ bhī shifā DhūñD leñge log

saaya jo de rahā hai unheñ phal ke saath saath

ik roz us shajar meñ ḳhudā DhūñD leñge log

gum honā chāhtā huuñ par is kashmakash meñ huuñ

mujh ko na DhūñD pā.eñge yā DhūñD leñge log

kuchh bhī nahīñ milegā suḳhan ke sivā unheñ

aa kar mire makān meñ kyā DhūñD leñge log

un kī ġharaz kī baat agar hai to jaan lo

inkār meñ bhī merī razā DhūñD leñge log

nādīda ik vabā ne dikhāyā hai aa.ina

da.avā hai phir bhī āb-e-baqā DhūñD leñge log

hotā nahīñ hai bhiiḌ kā chehrā koī magar

is bhiiḌ meñ bhī apnā sagā DhūñD leñge log

‘anjum’ gunāhgār na sābit huā magar

us ke liye bhī koī sazā DhūñD leñge log

Leave a Comment