gaanv aa kar jo apna ghar dekha
dil ko azurda kis qadar dekha
ghar tha ḳhamosh unghti galiyan
ek sannaTa sar-basar dekha
ashiyan tha jo ham parindon ka
tanha tanha sa vo shajar dekha
kis ke shane pe rakh ke sar rote
koi rishta na mo’atabar dekha
khet khaliyan saath rone lage
rota ham ko jo is qadar dekha
aish-o-ishrat ki yaad aa.i bahut
ham ne bachpan men jhank kar dekha
yaad paapa ki ḳhuub aa.i ‘suhaib’
ham ne bachchon ko DaanT kar dekha
Leave a Reply