gale laga.en bala.en len tum ko pyaar karen
jo baat maano to minnat hazar baar karen
ye haath kaise hain be-kar kuchh to car karen
bahar aa.i gareban taar taar karen
kahan se laa.en ab us ko jo ham-kanar karen
tasalli kya tiri o jan-e-be-qarar karen
vo rabt tum se baḌha.en vo tum ko yaar karen
hazar tarah ke jo jabr iḳhtiyar karen
gira.e sail-e-anasir ki chaar divari
ḳharab ḳhana-e-tan chashm-e-ashk-bar karen
tumhare dar se na mayus jaa.en hajat-mand
qubul hove jo tauba gunahgar karen
kafan bhi ho gaya maila dhare dhare ai maut
tamam umr hui kab tak intizar karen
ba-rang-e-ghuncha zaban hai dahan men zer-e-zaban
tumhare qaul ka kya ḳhaak e’tibar karen
gada tire dar-e-daulat ke hain ye mustaghni
jo saltanat bhi mile to na iḳhtiyar karen
ghurur-e-husn se hargiz sunega ek na gul
chaman men naale agar bulbulen hazar karen
suna.e rakhta huun sab ko miri vasiyyat hai
ki ta isi pe amal mere gham-gusar karen
charagh-e-zist jab us nang-e-dudman ka ho gul
aziiz sham.a na raushan sar-e-mazar karen
tire siva hai karim aur rahim kis ki zaat
najat kis se talab ham gunahgar karen
baja.e-surma laga.en ghubar-e-kucha-e-yar
yahi ilaaj tira chashm-e-ashk-bar karen
sitam-shi.ar jafa-pesha be-muravvat hai
sarahi.ye jigar un ke jo tujh ko pyaar karen
baḌha ke likkhen na sha.er hadis-e-zulf-e-rasa
hua hai tuul munasib hai iḳhtisar karen
dar-e-karim se aati hai muttasil ye sada
vo kyuun na paa.e jise ham umid-var karen
ye but uTha.en jo qur.an bhi ka.abe men ai ‘rind’
ḳhuda se ham to hon munkir jo e’tibar karen
Leave a Reply