gagan men jab apna sitara na dekha
to jiine ka koi sahara na dekha
nazar hai, magar vo nazar kya ki jis ne
ḳhud apni nazar ka nazara na dekha
bhale vo Duba.e ubhare ki ham ne
bhanvar dekh li to kinara na dekha
vo bas naam ka aa.ina hai ki jis ne
kabhi husn ko ḳhud sanvara na dekha
tumhen jab se dekha, tumhen dekhte hain
kabhi muḌ ke ḳhud ko dobara na dekha
sabhi nafraton ki dava hai mohabbat
ki is se alag koi chara na dekha
main badal men roya, hansa bijliyon men
kisi ne ye mera ishara na dekha
‘kunvar’ ham usi ke hue ja rahe hain
jise ham ne ab tak pukara na dekha
Leave a Reply