ga.e dinon ke dariche sajane lagte hain
ham apne haal ko maazi banane lagte hain
ḳhulus-o-mehr-o-mohabbat ki qadr ḳhatm hui
hayat-e-nau men ye sikke purane lagte hain
vo kaun hai jo unhen khelne nahin deta
vo kam-sini men jo rozi kamane lagte hain
main teri zulf ke saa.e men ruk to ja.un magar
tire jamal ke sho.ale jalane lagte hain
zamane ba.ad tu aaya hai lamha bhar to Thahar
ki ate-ate ye lamha zamane lagte hain
jinhon ne qaumi tashaḳhḳhus ko pa.emal kiya
ma.ashre ko vo unche gharane lagte hain
hamen vo ghair samajhta hai to gila kaisa
ki ibtida men ghalat bhi nishane lagte hain
ye ishq-bel kabhi sukhti nahin ‘nusrat’
visal-rut men isi ko fasane lagte hain
Leave a Reply