fariyad aur tujh ko sitamgar kahe baghair
manun na hashr men tire munh par kahe baghair
dekho ye rang-e-ruḳh ka shagufa ki mera ishq
zahir hua hai kahne se baḌh kar kahe baghair
munh dekhta hi rah gaya kahne ko jab gaya
palTa main halat-e-dil-e-muztar kahe baghair
pakḌo miri zaban to surat se hoshiyar
kholegi raaz ye sar-e-mahshar kahe baghair
hakla ke aaj main ne kaha us se apna shauq
taskin-e-dil hui na mukarrar kahe baghair
sunne ko tum kaho to mire dil ki ek baat
barson se phir rahi hai zaban par kahe baghair
karta hai har saval ye hujjat ki mashq vo
koi javab hi nahin kyunkar kahe baghair
ma.ashuq hi to kitna hi bad-tar hua is ka jaur
banti nahin hai baat hi behtar kahe baghair
maana ki dil shikan thiin sar-e-bazm phabtiyan
lekin na rah saka koi mujh par kahe baghair
main ye samajh gaya ki vo ghar men nahin hai aaj
darban ne ḳhud hi khol diya dariya kahe baghair
kya kya kahe hain sher hasinon ke vasf men
kya ‘shauq’ ho gaya hai suḳhnavar kahe baghair
Leave a Reply