duniya men koi shaad koi dard-nak hai
ya khush hai ya alam ke sabab sina-chak hai
har ek dam se jaan ka har-dam tapak hai
napak tan palid najis ya ki paak hai
jo khaak se bana hai vo akhir ko khaak hai
hai aadmi ki zaat ka us ja bada zuhur
le arsh ta-ba-farsh chamakta hai jis ka nuur
guzre hai un ki qabr pe jab vahsh aur tuyur
ro ro yahi kahe hai har ik qabr ke huzur
jo khaak se bana hai vo akhir ko khaak hai
duniya se jab ki ambiya aur auliya uthe
ajsam-e-pak un ke isi khaak men rahe
ruhen hain khuub jaan men ruhon ke hain maze
par jism se to ab yahi sabit hua mujhe
jo khaak se bana hai vo akhir ko khaak hain
vo shakhs the jo saat vilayat ke badshah
hashmat men jin ki arsh se unchi thi bargah
marte hi un ke tan hue galiyon ki khak-e-rah
ab un ke haal ki bhi yahi baat hai gavah
jo khaak se bana hai vo akhir ko khaak hai
kis kis tarah ke ho gae mahbub-e-kaj-kulah
tan jin ke misl-e-phul the aur munh bhi rashk-e-mah
jaati hai un ki qabr pe jis-dam miri nigah
rota huun jab to main yahi kah kah ke dil men aah
jo khaak se bana hai vo akhir ko khaak hai
vo gore gore tan ki jinhon ki thi dil men jaae
hote the maile un ke koi haath gar lagae
so vaise tan ko khaak bana kar hava udaae
rona mujhe to aata hai ab kya kahun main haae
jo khaak se bana hai vo akhir ko khaak hai
umdon ke tan ko tanbe ke sanduq men dhara
muflis ka tan pada raha mati-upar pada
qaaem yahan ye aur na sabit vo vaan raha
donon ko khaak kha gai yaaro kahun men kya
jo khaak se bana hai vo akhir ko khaak hai
gar ek ko hazar ruupe ka mila kafan
aur ek yuun pada raha hai be-kas barhana-tan
kiide makode kha gae donon ke tan-badan
dekha jo ham ne aah to sach hai yahi sukhan
jo khaak se bana hai vo akhir ko khaak hai
jitne jahan men naach hain kangni se ta-gehun
aur jitne meva-jat hain tar khushk gunagun
kapde jahan talak hain sapida o siyah numun
kim-khvab taash badila kis kis ka naam luun
jo khaak se bana hai vo akhir ko khaak hai
jitne darakht dekho ho buute se ta-ba-jhad
bad pipal aanb niib chhuara khajur taad
sab khaak honge jab ki fana dalegi ukhad
kiya buute dhedh paat ke kya jhaad kya pahad
jo khaak se bana hai vo akhir ko khaak hai
jitna ye khaak ka hai tilismat ban raha
phir khaak us ko hota hai yaaro juda juda
tarkari saag paat zahr amrit aur dava
zar siim kaudi laal zamurrad aur in sava
jo khaak se bana hai vo akhir ko khaak hai
gadh coat top rahakla tegh o kaman-o-tir
bagh-o-chaman mahall-o-makanat dil-pazir
hona hai sab ko aah isi khaak men khamir
meri zaban pe ab to yahi baat hai ‘nazir’
jo khaak se bana hai vo akhir ko khaak hai
Leave a Reply