hamen to kal kisi agle nagar pahunchna hai
mata-e-ḳhvab tujhe ab kidhar pahunchna hai
karahta hai sar-e-rah dard se koi
magar mujhe bhi to jaldi se ghar pahunchna hai
hamara kya hai kidhar jaa.en aur kab jaa.en
nikal paḌo ki tumhen vaqt par pahunchna hai
kabhi to pa.egi anjam kashmakash dil ki
kahin to ma.arka-e-ḳhair-o-shar pahunchna hai
havao kab se hain sakte men zard-ru ashjar
bara.e nauhagari kab idhar pahunchna hai
Leave a Reply