ik zara si chaah men jis roz bik jaata huun main
aa.ine ke samne us din nahin aata huun main
ranj gham us se chhupata huun main apne laakh par
paḌh hi leta hai vo chehra phir bhi jhuTlata huun main
qarz kya laaya main ḳhushiyan zindagi se ek din
roz karti hai taqaza aur jhunjhlata huun main
hausla to dekhiye mera ghazal ki khoj men
apne hi siine men ḳhanjar sa utar jaata huun main
de saza-e-maut ya phir baḳhsh de tu zindagi
kashmakash se yaar teri saḳht ghabrata huun main
maun vo paḌhta nahin aur shabd bhi sunta nahin
jo bhi kahna chahta huun kah nahin paata huun main
ḳhvab sach karne chala tha gaanv se main shahr ko
niind bhi kho kar yahan ‘alok’ pachhtata huun main
Leave a Reply