• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ek Ima Ek Ishaara Mar Raha Hai

Ek Ima Ek Ishaara Mar Raha Hai

abdul-ahad-saaz

ik iima ik ishara mar raha hai

ufuq par dil ke taara mar raha hai

jo mere baad sab paida hua tha

vo mujh se pahle saara mar raha hai

jise tha phuul kar phatakna hi lazim

sikud kar vo ghubara mar raha hai

kai maujon ne dam toda tha jis par

suna hai vo kinara mar raha hai

khirad tahlil sahra kar rahi hai

junun ka istiara mar raha hai

nazar ki maut ik taaza alamiya

aur itne men nazara mar raha hai

zaman-paima yahi miqyas-e-dil tha

magar ab us ka paara mar raha hai

mujhe zinda thi jis ki na-gavari

vo ab mujh ko gavara mar raha hai

kahan mangi hui sansen kahan dil

jilaya thaa, dobara mar raha hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

haidar-ali-aatish

Ai Sanam Jis Ne Tujhe Chand Si Surat di Hai

ahmad-nadeem-qasmi

Qariya-E-Mohabbat

Ishq Ki Tisen Jo Mizrab-E-Rag-E-Jaan Ho Gain

ameeta-parsuram-meeta

Subh-E-Raushan Ko Andheron Se Bhari Sham Na de

poet

Ba-Chashm-E-Haqiqat Jahan dekhta Hun

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet