ek ham hi nahin taqdir ke maare sahab
log hain baḳht-zada saare ke saare sahab
mera neze pe saja sar hai payam-e-ghairat
koi neze se mira sar na utare sahab
main bhi bachpan men ḳhalaon ka safar karta tha
khela karte the mire saath sitare sahab
daf.atan ham ne sila paaya munajaton ka
daf.atan samne aa.e vo hamare sahab
janvar men haya insan se ziyada dekhi
ulTe bahne lage tahzib ke dhare sahab
mujh men duniya rahi aur main bhi raha duniya men
mujh ko ghere rahe har vaqt ḳhasare sahab
taaki dariyaon ki vahshat rahe haavi sab par
Duub jaata huun main dariya ke kinare sahab
istaqamat ka gala ghonT ke dam lete hain
kitne vahshi hua karte hain sahare sahab
shukriya aap ne bardasht to kar li ye ghazal
aap bhi ja.iye ab ham bhi sidhare sahab
Leave a Reply