• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Ek din Larans Bagh Mein

Ek din Larans Bagh Mein

noon-meem-rashid

baitha hua huun subh se larense-bagh men

afkar ka hujum hai mere dimagh men

chhaya hua hai chaar taraf baagh men sukut

tanhaiyon ki god men leta hua huun main

ashjar baar baar darate hain ban ke bhuut

jab dekhta huun un ki taraf kanpta huun main

baitha hua huun subh se larense-bagh men

larense-bagh kaif o latafat ke khuld-zar

vo mausam-e-nashat vo ayyam-e-nau-bahar

bhule hue manazir-e-rangin bahar ke

afkar ban ke ruuh men meri utar gae

vo mast giit mausam-e-ishrat-fishar ke

gahraiyon ko dil ki gham abad kar gae

larense-bagh kaif o latafat ke khuld-zar

hai asman pe kaali ghataon ka izhdiham

hone lagi hai vaqt se pahle hi aaj shaam

duniya ki aankh niind se jis vaqt jhuk gai

jab kaenat kho gai asrar-e-khvab men

siine men ju-e-ashk hai mere ruki hui

ja kar use bahaunga kunj-e-gulab men

hai asman pe kaali ghataon ka izhdiham

afkar ka hujum hai mere dimagh men

baitha hua huun subh se larense-bagh men

Filed Under: Nazm Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Kahiye Kin Lafzon Mein Ashkon Ki Kahani Likkhun

jaDon Se Sukhta Tanha Shajar Hai

afzal-gauhar-rao

Aai Thi Us Taraf Jo Hawa Kaun Le Gaya

Jo Rishton Ki Ajab Si Zimmedari Sar Pe Rakkhi Hai

Jahaalat Ka Manzar Jo Rahon Mein Tha

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet