ik be-panah raat ka tanha javab tha
chhota sa ik diya jo sar-e-ehtisab tha
rasta mira tazad ki tasvir ho gaya
dariya bhi bah raha tha jahan par sarab tha
vo vaqt bhi ajiib tha hairan kar gaya
vazeh tha zindagi ki tarah aur khvab tha
pahle padav se hi use lautna pada
lambi masafaton se jise ijtinab tha
phir be-numu zamin thi aur khushk the shajar
be-abr asman ka chalan kamyab tha
ik be-qayas baat se mansub ho gaya
phaila hua huruf men jo iztirab tha
apni nigah par bhi karun e’tibar kya
kis maan par kahun vo mira intikhab tha
Leave a Reply