ehsasat ki basti men jab har janib ik sannaTa tha
main avazon ke jangal men tab jaane kya DhunD raha tha
jin rahon se apne dil ka har qissa mansub raha hai
ab to ye bhi yaad nahin hai un rahon ka qissa kya tha
aaj usi ke afsanon ka mahfil mahfil charcha hoga
kal chaurahe par tanha jo shaḳhs bahut ḳhamosh khaḌa tha
yuun jivan ras kab deta hai phir se apne zaḳhm kuredo
tum ne aḳhir kya socha tha dard se kyuun sannyas liya tha
aisi koi baat nahin thi un rahon se lauT bhi aate
lekin un rahon pe kisi ne kuchh din apna saath diya tha
is nagri men lag-bhag sab ne ek tarah se choTen kha.in
lekin zaḳhmon ko sahlane ka sab ka andaza juda tha
tum un begani rahon men aḳhir kis ko DhunD rahe ho
vo to kab ka lauT chuka hai kal jo tumhare saath chala tha
Leave a Reply