duur ta-hadd-e-ufuq manzar sunahra ho gaya
rafta rafta shaam ka har rang gahra ho gaya
ya to ab aahaT koi mujh tak pahunch paati nahin
ya mire andar ka saara shahr bahra ho gaya
ek ik kar ke har ik tasvir dhundlati ga.i
jab udasi ka kuaan kuchh aur gahra ho gaya
kya kahun kis shahr ki viraniyan ankhon men thiin
jis ghane jangal se main guzra vo sahra ho gaya
Leave a Reply