duur se kya muskura kar dekhna
dil ka aalam dil men aa kar dekhna
khud ko gar pahchanna chaho kabhi
mujh ko aina bana kar dekhna
qad ka andaza tumhen ho jaega
apne saae ko ghata kar dekhna
main andhere odh kar so jaunga
tum ujalon men sama kar dekhna
shaam ka manzar hasin ho jaega
haath pe mehndi laga kar dekhna
ho chala zakhm-e-tamanna mundamil
ik zara phir muskura kar dekhna
kis qadar ‘aghaz’ ubalta hai sakun
tum zara aansu baha kar dekhna
Leave a Reply