duur se baat khush nahin aati
yuun mulaqat khush nahin aati
tujh bin ai mah-ru kabhi mujh ko
chandni raat khush nahin aati
jaae bosa ke galiyan diije
ye inayat khush nahin aati
na mai-o-jam hai na saaqi hai
aisi barsat khush nahin aati
us ke mazkur ke siva ‘bedar’
aur kuchh baat khush nahin aati
Leave a Reply