Duniya KHayal-O-KHwab Hai Meri Nigah Mein

duniyā ḳhayāl-o-ḳhvāb hai merī nigāh meñ

ābād sab ḳharāb hai merī nigāh meñ

bahtī phire hai umar talātum meñ dahr ke

insān juuñ hubāb hai merī nigāh meñ

maiñ bahr-e-ġham ko dekh liyā nā-ḳhudā ba-rū

kashtī na ho pa aab hai merī nigāh meñ

chhūTā huuñ jab se shaiḳh ta.ayyun kī qaid se

har zarra āftāb hai merī nigāh meñ

tum kaif meñ sharāb ke kahte ho jis ko dil

bhūnā huā kabāb hai merī nigāh meñ

kyuuñ khīñchte ho teġh kamar se che-fā.eda

muddat se is kī aab hai merī nigāh meñ

‘hātim’ tū is jahān kī lazzāt par na bhuul

ye pā-e-dar-rikāb hai merī nigāh meñ

Leave a Comment