• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / dukhati Hai dil Phir Mohabbat Kisi Ki

dukhati Hai dil Phir Mohabbat Kisi Ki

poet

dukhati hai dil phir mohabbat kisi ki

ki ankhon men phirti hai surat kisi ki

na puchho ye hain sikka-e-dagh kis ke

ye daulat mili hai badaulat kisi ki

pur-arman ahbab duniya se utthe

falak ne nikali na hasrat kisi ki

ye aalam hai apna ki kahta hai aalam

ilahi na ho aisi halat kisi ki

ajab be-muravvat se paala pada hai

kahan tak kare koi minnat kisi ki

uda le gai sarv se qumriyon ko

qayamat hai buuta si qamat kis ki

main is dil ka sathi nahin ashiqi men

bala meri le sar par aafat kisi ki

nazar men hain yaran-e-rafta ke jalse

khush aati nahin mujh ko sohbat kisi ki

vo kya din the ai dil tujhe yaad hai kuchh

vo meri khushamad vo nakhvat kisi ki

bahut bad hai ai ishq sarkar tere

na izzat kisi ki na hurmat kisi ki

shikanje men rahta hai dil aadmi ka

khuda band rakkhe na hajat kisi ki

kahe mujh ko jo jis ka ji chahe lekin

kabhi mujh se hogi na ghibat kisi ki

abas ‘bahr’ marte ho tum har kisi par

mubarak nahin tum ko chahat kisi ki

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Badan Ke Rup Ka Ejaz Ang Ang Thi Wo

Man Ke Mandir Mein Hai Udasi Kyun

akhtar-ansari

Jo dagh Ban Ke Tamanna Tamam Ho Jae

Payam Gham Ka Wahi Gham-Gusar Dete Hain

Kis Bharose Pe Nikalta Ghar Se Bahar Main Akela

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet