• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Dosti Uski Dushmani Hi Sahi

Dosti Uski Dushmani Hi Sahi

poet

dosti us ki dushmani hi sahi

dost to ho vo mudda.i hi sahi

masti-o-bahs-e-uzr-e-kaffara

tauba se tauba ham ne ki hi sahi

hai agar kuchh vafa to kya kahne

kuchh nahin hai to dil lagi hi sahi

ji hai ye bin lage nahin rahta

kuchh to ho shaghl-e-ashiqi hi sahi

mohtasib ḳhatm kijiye hujjat

pi hai to ḳhair ham ne pi hi sahi

haif ḳhamyaz-ha-e-hasrat-o-shauq

zindagani kashakashi hi sahi

jaan de kar liya hai nam-e-vafa

maut bhi ham ne mol li hi sahi

milte hain mudda.i se milne do

ki miri na-ḳhushi ḳhushi hi sahi

bosa dene ki chiiz hai aḳhir

na sahi har ghaḌi kabhi hi sahi

qatl hote hain qatl hote hain

ahd-e-dil daur-e-nadari hi sahi

ai ‘qalaq’ nasehon se kya takrar

maan ik baat maan li hi sahi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Surat Se Wo Bezar Hai Malum Nahin Kyun

Sufi

Fikr Ka Gar Silsila Maujud Hai

Koi Mausam Ho Kuchh Bhi Ho Safar Karna Hi paDta Hai

Yun Bhi Jab Tak Gham Se Mar Nahin Jata Main

Ashk Pine Ke Liye KHak uDane Ke Liye

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet