dukhon men us ke izafa bhi main hi karta huun
aur is kami ka izala bhi main hi karta huun
zara bahut miri jhunjhlahaTen bhi jaa.ez hain
ki mad.h-e-sahab-e-vala bhi main hi karta huun
ḳhushi ke ḳhvab sajata zarur huun lekin
saf-e-malal ko sidha bhi main hi karta huun
na apne fe.al ka gham hai na apne qaul ka dukh
nibahta huun to va.ada bhi main hi karta huun
tire visal ki ḳhushbu bhi sirf meri hai
tire baghair guzara bhi main hi karta huun
Leave a Reply