divaron men dar rakhte hain
raushan har manzar rakhte hain
sej sajate hain phulon ki
kanTon ka bistar rakhte hain
apne andar sau hangame
gum gum bam-o-dar rakhte hain
divaren hain qadam qadam par
jis basti men ghar rakhte hain
kuchh bhi hon chizon ki shaklen
ham bhi ek nazar rakhte hain
garmi sardi ka andaza
be-ghar hi behtar rakhte hain
apni ḳhaak men ham bhi kya kya
patte phuul shajar rakhte hain
Leave a Reply