dil tang us men ranj-o-alam shor-o-shar hon jam.a
chain aa.e ḳhaak ghar men jab itne zarar hon jam.a
dil men jo farq Daal diya hai raqib ne
ho jaa.e bar-taraf kahin ham tum agar hon jam.a
jis ne kiya hai qatl vahi aa.e na.ash par
kya fa.eda hai yuun jo hazaron bashar hon jam.a
aa.e na kaam ek bhi be-yari-e-nasib
go zaat men kisi ke hazaron hunar hon jam.a
jaata hai yaar mangen nishani to kis tarah
apne kahin havas bhi vaqt-e-safar hon jam.a
likkhi ghazal to ḳhuub magar ye zarur hai
paḌhna tab is ko ‘sehr’ jab ahl-e-hunar hon jam.a
Leave a Reply