dil munafiq tha shab-e-hijr men soya kaisa
aur jab tujh se mila tuut ke roya kaisa
zindagi men bhi ghazal hi ka qarina rakkha
khvab-dar-khvab tire gham ko piroya kaisa
ab to chehron pe bhi katbon ka guman hota hai
ankhen pathrai hui hain lab-e-goya kaisa
dekh ab qurb ka mausam bhi na sarsabz lage
hijr hi hijr marasim men samoya kaisa
ek aansu tha ki dariya-e-nadamat tha ‘faraz’
dil se bebak shanavar ko duboya kaisa
Leave a Reply